Youtube Par Video Kaise Upload Kare In Hindi



Aaj kal ke daur me Youtube par video upload or dekhna ek aam si baat hogyi hai. Aap logo me se bhot se log ese bhi honge jinke mann me ye sawal aksar aata hai ki "youtube par video kaise upload kare in hindi", lekin iss sawal ka jawab na malum hone ke karan ye sawal aake reh jata hai. Or issi youtube par video upload karne ke tarike na malum hone ke karan aap youtube par video upload nhi kar pate hai.

Hum aapko ye batadete hai ki youtube par video upload karna koi badi baat nhi hai. Chaliye aaj hum jante hai kuch assan tareeke youtube par video upload kaise kare wo bhi hindi me.

Youtube Par Video Kaise Upload Kare

Isse pehle hum aapko btaye ki youtube par video kaise dale or youtube par video kaise upload kare assaan tareeko me. Hume kuch or chijo ki jarurt hogi jis ke jariye hum youtube par apni video upload kar sakte hai. To youtube par video upload karne ke liye, niche pdhiye kin-kin chijo ki aapko jarurt padegi youtube par apni video dalne ke liye.
  • Gmail ID
  • Laptop ya Computer
  • Upload Karne ke liye Video
  • Internet
  • Inn teeno chijo ke jariye aap apne sawal youtube par video upload kaise kare ke liye sahi jaankari jaan sakte hai.

Youtube Par Video Upload Kaise Kare Ke Aasan Tarike

Niche bataye gaye tariko ko ek-ek kar ke ache se padhkar unko dhoraye or jaane ki youtube par video upload kaise kare. Aap youtube par video Laptop/Computer ya Mobile Phone se bhi daal sakte hai.

Youtube par video kaise upload kare tarike: 
  1. Sabse pehle aap www.youtube.com ko khole.
  2. Fir youtube khulne ke baad right hand side, upar ki taraf SIGN IN par click kare.
  3. Sign-in karne ke baad right hand side upar ki taraf hi, apni pic par click kare or waha YOUTUBE STUDIO par ckick kare.
  4. Youtube studio par click karne ke baad aapko apni screen par UPLOAD VIDEO likha najar aarha hoga uspar click kare.
  5. Waha jake apni video ko select kare or fir upload par click karde.
  6. Upload par click karne ke baad aapki video uploading me thoda time legi.
  7. Fir wahan aap apni youtube video ka title dale uske baad Next par click kare.
  8. Fir aapko waha 2 option dikhnege ki :
    1. (Yes, it's Made for Kids) Agar ye video 18 saal se kam umar ke bacho ke liye hai to iss option par click kare.
    2. (No, it's not Made for Kids) Agar ye video bacho ke liye nhi hai to yaha click kare.
  9. Uske baad Next par click kare firse Next par click kare.
  10. Fir uske baad waha kafi options diye honge lekin aapko sirf Public option ko hi choose karna hai.
  11. Uske baad waha right hand side niche ki taraf se apni youtube Video Link ko copy karle jiske ke jariye aap apni youtube par apni video dalne ke baad dekh sakte hai ya fir apne dosto ko bhi dikha sakte hai. 
  12. Public par click karne ke baad Publish button par click karde.
  13. Ab mat puchna kisi se ki Youtube Par Video Kaise Upload Kare.
  14. Kyunki aapki video youtube par dale gayi hai.
Youtube Par Video Kaise Upload Kare In Hindi
Read More : 
→ Click kare Mobile se youtube par video kaise upload kare.

Comments